Dil rona chahe,
Par ro na paye.
Aise haal mai bhala jaye bhi to kaha jaye.
Zindagi ne pucha, “Kya mujse pyar karta hai?”
Maut ne pucha, “Kya mujse darta hai?”
Ab inhe samjau bhi to kya,
Zindagi se pyar karu to Maut ka dar lage,
Aur agar Maut se na daru to Zindagi ka pyar fika pad jaye.
Ab aise haal mai Dil jaye bhi to kaha jaye.
Socha ki khudpe hasu,
khudki maskari karu,
isi bahane man bhi to sambhal jaye.
Par duniya aise kaise chhode,
aisa mauka hath se kaise jane dia jaye,
rone wale ko thoda orr rulaya jaye.
Ab aise haal mai Dil jaye bhi to kaha jaye.
Chehre pe hasi humesha rahe,
par andar hi andar Insan roya jaye.
Ab aise haal mai Dil jaye bhi to kaha jaye.
Mushkile bahot hai,
raaste bhi kam nahi hai,
par in mai se kaunsa chuna jaye.
Dil kahi orr jaye aur Man kahi orr jaye,
Ab aise haal mai Dil jaye bhi to kaha jaye.
Jina koi majburi nahi,
Dar kar marna koi zaruri nahi.
In dono ko sath mai kaise sambhala jaye,
Aakhir aise haal mai Dil jaye bhi to kaha jaye.
Dil rona chahe,
Par ro na paye.
Aise haal mai bhala jaye bhi to kaha jaye.. Bahut khub bhai..
Thanks for the appreciation Sunny 🙂
🙂