Teri Zindagi ek jaan k badle aayi ,
Wo to naa rahi , par sath humesha rahi uski parchaayi..
Tuje naa andhi rok paayi , naa khaayi nighal paayi..
Par ek insaan aur bhi raha , jisne apni saari Zindagi teri khidmat mai lagaayi..
Wo na hota , to shayad aaj tu na hota ,
Tere sine mai dhadakta ye masoom sa dil na hota..
Jo sabko mila , tuje wo to naa mila ,
Par jo tuje mila , wo kisiko naa mila..
Apno ka pyaar mila , dulhaar mila..
Par us jaan k khone ka upsos bhi mila..
Tu sochta raha , tu is Duniyan mai kyun aaya ,
Tere apno ne us Anmol jaan ko kyun gawaaya..
Shayad ye kisi ki galti thi ,
Ya fir ye Khuda ki hi marzi thi..
Ab jo tu aa gaya hai , yuhi nahi laut sakta ,
Tuje jaan denewaali k armaano ka tu gala nahi ghaut sakta..
Tu jaisa aaya hai , waisa hi jaana ,
Par apne sath us jaan k lie kaamyabi ka taufa zarur le jaana..
Teri Zindagi se kaee Zindagiyaan judi hai , tu ise yuhi naa gawaana..
Jab tu saare chipe raaz jaan jayega ,
Tab ye Zamana bhi tuje maan jayega..
Zindagi se haar mat , Zindagi ko jina sikha..
Nasib pe ro mat , apne Lakshya ko paa kar dikha..